aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan,
aaj ik dhanush ke baan pe utaar do
aarambh hai prachand bole mastakon ke jhund....
man kare so praan de, jo man kare so praan le
wahi to ek sarvshaktimaan hai
krishna ki pukaar hai ye, bhagwat ka saar hai
ki yudh hi to veer ka pramaan hai
kaurvon ki bheed ho ya paandavon ka need ho
jo lad saka hai wohi to mahaan hai
jeet ki hawas nahi kisi pe koi vash nahi
kya zindagi hai thokaron pe maar do
maut ant hai nahi to maut se bhi kyun dare
ye jaake aasmaan mein dahaad do
ho daya ka bhaav ya ki shaurya ka chunav
ya ki haar ka wo ghaav tum ye soch lo
ya ki poore bhaal par jala rahe vijay ka
laal laal ye gulaal tum ye soch lo,
rang kesari ho ya mridang kesari ho ya
ki kesari ho taal tum ye soch lo
jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet
us kavi ko aaj tum nakaar do
bheegati nason mein aaj phoolati ragon mein aaj
aag ki lapat ka tum baghaar do
aarambh hai prachand
If you are a fan of poetry, then you must must see this movie. Not just coz of the songs, the whole film is carried forward with poems and songs. Its amazin
No comments:
Post a Comment